vo bhi teri thi nazar jis ne mujhe shaad kiya | वो भी तेरी थी नज़र जिस ने मुझे शाद किया

  - Ghubar Kiratpuri

vo bhi teri thi nazar jis ne mujhe shaad kiya
ye bhi hai teri nazar jis ne ki barbaad kiya

barq ka kaam nasheeman ko jalana hai magar
ik nasheeman hai jise barq ne aabaad kiya

ek thokar ne kabhi bakshi hai murde ko hayaat
ek thokar ne kabhi zeest ko barbaad kiya

is zabaan ne kabhi dushman ko banaya apna
is zabaan ne kabhi ahbaab ko naashaad kiya

bewafaai ko tiri ham na kabhi bhool sake
zikr zalim ka chhida jab bhi tujhe yaad kiya

tu ne bulbul ka qafas la ke chaman mein rakha
ik naya zulm ye majboor pe sayyaad kiya

ham bagule ki tarah dasht mein firte hain ghubaar
josh-e-wahshat ne kuchh aisa hamein azaad kiya

वो भी तेरी थी नज़र जिस ने मुझे शाद किया
ये भी है तेरी नज़र जिस ने कि बर्बाद किया

बर्क़ का काम नशेमन को जलाना है मगर
इक नशेमन है जिसे बर्क़ ने आबाद किया

एक ठोकर ने कभी बख़्शी है मुर्दे को हयात
एक ठोकर ने कभी ज़ीस्त को बर्बाद किया

इस ज़बाँ ने कभी दुश्मन को बनाया अपना
इस ज़बाँ ने कभी अहबाब को नाशाद किया

बेवफ़ाई को तिरी हम न कभी भूल सके
ज़िक्र ज़ालिम का छिड़ा जब भी तुझे याद किया

तू ने बुलबुल का क़फ़स ला के चमन में रक्खा
इक नया ज़ुल्म ये मजबूर पे सय्याद किया

हम बगूले की तरह दश्त में फिरते हैं 'ग़ुबार'
जोश-ए-वहशत ने कुछ ऐसा हमें आज़ाद किया

  - Ghubar Kiratpuri

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghubar Kiratpuri

As you were reading Shayari by Ghubar Kiratpuri

Similar Writers

our suggestion based on Ghubar Kiratpuri

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari