jis mein na ho sukoon naseeb aise jahaan ko kya karoon | जिस में न हो सुकूँ नसीब ऐसे जहाँ को क्या करूँ

  - Ghubar Kiratpuri

jis mein na ho sukoon naseeb aise jahaan ko kya karoon
raahat-e-dil na ho jahaan aise makaan ko kya karoon

subh naseem ki jagah baad-e-sumoom tund-o-tez
gul ke bajaae khaar hain baag-e-jahaan ko kya karoon

wa'de hazaar-ha kiye rahbar-e-qoum ne magar
wa'da koi wafa nahin aisi zabaan ko kya karoon

tooti-e-gul-ada nahin bulbul-e-khush-navaa nahin
kargas-o-zaagh hon jahaan aise jahaan ko kya karoon

wa'da pe jee raha hoon main naak mein aa gaya hai dam
zaahiri gham ko kya karoon soz-e-nihaan ko kya karoon

jitne bhi khaas-o-aam hain zar ke sabhi ghulaam hain
kya kahoon meer-e-waqt ko peer-e-mugaan ko kya karoon

bar-sar-e-manjil-e-muraad dhoke diye hain qaum ko
ye to batao fitrat-e-raahbaraan ko kya karoon

जिस में न हो सुकूँ नसीब ऐसे जहाँ को क्या करूँ
राहत-ए-दिल न हो जहाँ ऐसे मकाँ को क्या करूँ

सुब्ह नसीम की जगह बाद-ए-सुमूम तुंद-ओ-तेज़
गुल के बजाए ख़ार हैं बाग़-ए-जहाँ को क्या करूँ

वा'दे हज़ार-हा किए रहबर-ए-क़ौम ने मगर
वा'दा कोई वफ़ा नहीं ऐसी ज़बाँ को क्या करूँ

तूती-ए-गुल-अदा नहीं बुलबुल-ए-ख़ुश-नवा नहीं
कर्गस-ओ-ज़ाग़ हों जहाँ ऐसे जहाँ को क्या करूँ

वा'दा पे जी रहा हूँ मैं नाक में आ गया है दम
ज़ाहिरी ग़म को क्या करूँ सोज़-ए-निहाँ को क्या करूँ

जितने भी ख़ास-ओ-आम हैं ज़र के सभी ग़ुलाम हैं
क्या कहूँ मीर-ए-वक़्त को पीर-ए-मुग़ाँ को क्या करूँ

बर-सर-ए-मंज़िल-ए-मुराद धोके दिए हैं क़ौम को
ये तो बताओ फ़ितरत-ए-राहबराँ को क्या करूँ

  - Ghubar Kiratpuri

Sukoon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghubar Kiratpuri

As you were reading Shayari by Ghubar Kiratpuri

Similar Writers

our suggestion based on Ghubar Kiratpuri

Similar Moods

As you were reading Sukoon Shayari Shayari