aashiyaan tha ham se ham the aashiyaane ke liye
roiyie kya ab qafas mein is zamaane ke liye
kaar-farma hain niyaaz-e-ishq ki majbooriyaan
sajde le kar main chala tha aastaane ke liye
kashmakash mein hai hayaat-o-maut ki jaan-e-hazeen
aap aa jaayen zara qissa chukaane ke liye
koi hota hai khareedaar-e-mataa'-e-ahl-e-dil
daulat-e-daarain laate hain lutaane ke liye
ho qafas ki teeliyon par bhi nigaah-e-lutf-e-barq
kya nasheeman hi ke tinke the jalane ke liye
आशियाँ था हम से हम थे आशियाने के लिए
रोइए क्या अब क़फ़स में इस ज़माने के लिए
कार-फ़रमा हैं नियाज़-ए-इश्क़ की मजबूरियाँ
सज्दे ले कर मैं चला था आस्ताने के लिए
कश्मकश में है हयात-ओ-मौत की जान-ए-हज़ीं
आप आ जाएँ ज़रा क़िस्सा चुकाने के लिए
कोई होता है ख़रीदार-ए-मताअ'-ए-अहल-ए-दिल
दौलत-ए-दारैन लाते हैं लुटाने के लिए
हो क़फ़स की तीलियों पर भी निगाह-ए-लुत्फ़-ए-बर्क़
क्या नशेमन ही के तिनके थे जलाने के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habibur Rahman Siddiqui
our suggestion based on Habibur Rahman Siddiqui
As you were reading Kahani Shayari Shayari