dil-e-deewaana se haal-e-dil-e-deewaana kahte hain
humeen hain sunne waale aur humeen afsaana kahte hain
suna hai phir bahaar aayegi is ujde hue ghar mein
banega ik jahaan-e-aarzoo veeraana kahte hain
sar-e-ikhlaas jis ka mahv-e-sajda ho tire dar par
vo kya jaane kise kaaba kise but-khaana kahte hain
dam-e-aakhir hai aa jaao mareez-e-gham ki baaleen par
zara sun lo lab-e-khaamosh kya afsaana kahte hain
naqaab-e-rukh ulatna khirman-e-hasti ka jal jaana
isee bijli ko shaayad jalwa-e-jaanaana kahte hain
दिल-ए-दीवाना से हाल-ए-दिल-ए-दीवाना कहते हैं
हमीं हैं सुनने वाले और हमीं अफ़्साना कहते हैं
सुना है फिर बहार आएगी इस उजड़े हुए घर में
बनेगा इक जहान-ए-आरज़ू वीराना कहते हैं
सर-ए-इख़्लास जिस का महव-ए-सज्दा हो तिरे दर पर
वो क्या जाने किसे काबा किसे बुत-ख़ाना कहते हैं
दम-ए-आख़िर है आ जाओ मरीज़-ए-ग़म की बालीं पर
ज़रा सुन लो लब-ए-ख़ामोश क्या अफ़्साना कहते हैं
नक़ाब-ए-रुख़ उलटना ख़िर्मन-ए-हस्ती का जल जाना
इसी बिजली को शायद जल्वा-ए-जानाना कहते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habibur Rahman Siddiqui
our suggestion based on Habibur Rahman Siddiqui
As you were reading Paani Shayari Shayari