khun agar honge to kaam aayenge paimaanon ke | ख़ूँ अगर होंगे तो काम आएँगे पैमानों के

  - Habibur Rahman Siddiqui

khun agar honge to kaam aayenge paimaanon ke
hausale kuchh to nikal jaayenge armaanon ke

ek ham hain ki b-juz aap ke sab hain apne
ek hain aap na apnon ke na begaano'n ke

shauq-e-may tha to kahi se hamein maange na mili
tauba kar li hai to dar baaz hain may-khaanon ke

jam'a phir karte hain ajzaa-e-pareshaan dil ke
tukde le aate hain toote hue paimaanon ke

chaar tinke the nasheeman ke so vo jal bhi chuke
barq kyun fikr mein hai sokhta-saamaanoń ke

ख़ूँ अगर होंगे तो काम आएँगे पैमानों के
हौसले कुछ तो निकल जाएँगे अरमानों के

एक हम हैं कि ब-जुज़ आप के सब हैं अपने
एक हैं आप न अपनों के न बेगानों के

शौक़-ए-मय था तो कहीं से हमें माँगे न मिली
तौबा कर ली है तो दर बाज़ हैं मय-ख़ानों के

जम्अ' फिर करते हैं अज्ज़ा-ए-परेशाँ दिल के
टुकड़े ले आते हैं टूटे हुए पैमानों के

चार तिनके थे नशेमन के सो वो जल भी चुके
बर्क़ क्यों फ़िक्र में है सोख़्ता-सामानों के

  - Habibur Rahman Siddiqui

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habibur Rahman Siddiqui

As you were reading Shayari by Habibur Rahman Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Habibur Rahman Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari