khayal-o-khwaab ki zulfen sanwaar thodi der
abhi hai aur shab-e-intizaar thodi der
mohabbaton ke ye paikar ye dosti ke ameen
wafa ke hote hain sab paasdaar thodi der
abhi na rokiye in aansuon ko palkon par
nikalne deejie dil ka ghubaar thodi der
tamaam umr raha us ka intizaar mujhe
jo kah gaya tha karo intizaar thodi der
bana rahoon main tamaasha-e-aarzoo kab tak
azaab mujh pe khudaaya utaar thodi der
zaroor pighlengi yakh-basta vaadiyaan betaab
ruke to dhoop sar-e-kohsaar thodi der
ख़याल-ओ-ख़्वाब की ज़ुल्फ़ें सँवार थोड़ी देर
अभी है और शब-ए-इंतिज़ार थोड़ी देर
मोहब्बतों के ये पैकर ये दोस्ती के अमीन
वफ़ा के होते हैं सब पासदार थोड़ी देर
अभी न रोकिए इन आंसुओं को पलकों पर
निकलने दीजिए दिल का ग़ुबार थोड़ी देर
तमाम उम्र रहा उस का इंतिज़ार मुझे
जो कह गया था करो इंतिज़ार थोड़ी देर
बना रहूँ मैं तमाशा-ए-आरज़ू कब तक
अज़ाब मुझ पे ख़ुदाया उतार थोड़ी देर
ज़रूर पिघलेंगी यख़-बस्ता वादियाँ 'बेताब'
रुके तो धूप सर-ए-कोहसार थोड़ी देर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Betab
our suggestion based on Hafeez Betab
As you were reading Intezaar Shayari Shayari