jab dasht-e-tamanna mein koi phool khila hai | जब दश्त-ए-तमन्ना में कोई फूल खिला है

  - Hafeez Betab

jab dasht-e-tamanna mein koi phool khila hai
shehr-e-dil-e-khaamosh se ik shor utha hai

aankhon mein khandar honton pe ik bhoola hua naam
chaahat mein kisi ki ye ajab haal hua hai

phir yaadon ki dahleez pe jal utthi hain shamaein
phir palkon pe bikhra hua ik khwaab saja hai

har saans ho talwaar si jaise rag-e-jaan par
jeena bhi yahan naam kisi mo'jize ka hai

khaamosh bahut der se hai bahr-e-hawadis
toofaan tah-e-aab koi khaul raha hai

tum chaaho to ye aakhiri sarmaaya bhi le lo
ik dard ki daulat ke siva paas hi kya hai

betaab baras jaane do aankhon ka ye saawan
tinkon ka badan sholoon ki baahon mein ghira hai

जब दश्त-ए-तमन्ना में कोई फूल खिला है
शहर-ए-दिल-ए-ख़ामोश से इक शोर उठा है

आँखों में खंडर होंटों पे इक भूला हुआ नाम
चाहत में किसी की ये अजब हाल हुआ है

फिर यादों की दहलीज़ पे जल उट्ठी हैं शमएँ
फिर पलकों पे बिखरा हुआ इक ख़्वाब सजा है

हर साँस हो तलवार सी जैसे रग-ए-जाँ पर
जीना भी यहाँ नाम किसी मो'जिज़े का है

ख़ामोश बहुत देर से है बहर-ए-हवादिस
तूफ़ान तह-ए-आब कोई खौल रहा है

तुम चाहो तो ये आख़िरी सरमाया भी ले लो
इक दर्द की दौलत के सिवा पास ही क्या है

'बेताब' बरस जाने दो आँखों का ये सावन
तिनकों का बदन शो'लों की बाहों में घिरा है

  - Hafeez Betab

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Betab

As you were reading Shayari by Hafeez Betab

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Betab

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari