aankhen moonde sab kuchh bhule kab se yoonhi baithe hain | आँखें मूँदे सब कुछ भूले कब से यूँही बैठे हैं

  - Hafeez Betab

aankhen moonde sab kuchh bhule kab se yoonhi baithe hain
palkon pe kuchh khwaab sajaaye jaage jaage soye hain

kis se kya rishta tha mera ab to ye bhi yaad nahin
reza-reza aaina hai bikhre bikhre chehre hain

apne ghar ki veeraani ka ham kis se kya haal kahein
soona soona darwaaza hai khaali khaali kamre hain

tanhaai ke andhiyaare mein yaadon ki mauhoom kiran
jaise raat ki peshaani par jhilmil jhilmil taare hain

tum se kya batlaayein dil ka aalam kya ho jaata hai
beete mausam ki yaadon ke aanchal jab lehraate hain

ab ke baras bhi saawan aa kar yoonhi beet gaya aakhir
jalte hain ham andar andar aas ke panchi pyaase hain

waqt ki bhatti mein tap tap kar ham ne ye jaana betaab
saccha hai ik dard ka rishta baaki rishte jhoote hain

आँखें मूँदे सब कुछ भूले कब से यूँही बैठे हैं
पलकों पे कुछ ख़्वाब सजाए जागे जागे सोए हैं

किस से क्या रिश्ता था मेरा अब तो ये भी याद नहीं
रेज़ा-रेज़ा आईना है बिखरे बिखरे चेहरे हैं

अपने घर की वीरानी का हम किस से क्या हाल कहें
सूना सूना दरवाज़ा है ख़ाली ख़ाली कमरे हैं

तन्हाई के अँधियारे में यादों की मौहूम किरन
जैसे रात की पेशानी पर झिलमिल झिलमिल तारे हैं

तुम से क्या बतलाएँ दिल का आलम क्या हो जाता है
बीते मौसम की यादों के आँचल जब लहराते हैं

अब के बरस भी सावन आ कर यूँही बीत गया आख़िर
जलते हैं हम अंदर अंदर आस के पंछी प्यासे हैं

वक़्त की भट्टी में तप तप कर हम ने ये जाना 'बेताब'
सच्चा है इक दर्द का रिश्ता बाक़ी रिश्ते झूटे हैं

  - Hafeez Betab

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Betab

As you were reading Shayari by Hafeez Betab

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Betab

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari