lau dene laga hai tiri yaadon ka diya phir
bahke na kahi dekhna jungle ki hawa phir
tajdeed-e-mohabbat ka khayal aaya hai us ko
paaye na kahi jurm-e-wafa ki vo saza phir
shaayad ki li angadaai kisi chaand-badan ne
haijaan sa khaamosh samundar mein utha phir
ifrit-e-shab-e-taar ne lab khole hain kya kya
khaamoshi-e-sehra se uthe koi sada phir
phir khwaab sajaane lage palkon pe deewane
bhaunron ko rizhaane lagi phoolon ki ada phir
tum the ki mere paanv mein zanjeer thi betaab
be-naam ta'alluq hi sahi kyun na raha phir
लौ देने लगा है तिरी यादों का दिया फिर
बहके न कहीं देखना जंगल की हवा फिर
तज्दीद-ए-मोहब्बत का ख़याल आया है उस को
पाए न कहीं जुर्म-ए-वफ़ा की वो सज़ा फिर
शायद कि ली अंगड़ाई किसी चाँद-बदन ने
हैजान सा ख़ामोश समुंदर में उठा फिर
इफ़रीत-ए-शब-ए-तार ने लब खोले हैं क्या क्या
ख़ामोशी-ए-सहरा से उठे कोई सदा फिर
फिर ख़्वाब सजाने लगे पलकों पे दिवाने
भौँरों को रिझाने लगी फूलों की अदा फिर
तुम थे कि मिरे पाँव में ज़ंजीर थी 'बेताब'
बे-नाम तअ'ल्लुक़ ही सही क्यों न रहा फिर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Betab
our suggestion based on Hafeez Betab
As you were reading Hawa Shayari Shayari