ab ke us ne kamaal kar daala
ik khushi se nidhaal kar daala
chaand ban kar chamakne waale ne
mujh ko soorj-misaal kar daala
pehle gham se nihaal karta tha
ab khushi se nihaal kar daala
ik haqeeqat ke roop mein aa kar
mujh ko khwaab-o-khayaal kar daala
dukh-bhare dil se dukh hi cheen liye
aur jeena vabaal kar daala
ek khush-khat se shakhs ne haider
ham ko bhi khush-khyaal kar daala
अब के उस ने कमाल कर डाला
इक ख़ुशी से निढाल कर डाला
चाँद बन कर चमकने वाले ने
मुझ को सूरज-मिसाल कर डाला
पहले ग़म से निहाल करता था
अब ख़ुशी से निहाल कर डाला
इक हक़ीक़त के रूप में आ कर
मुझ को ख़्वाब-ओ-ख़याल कर डाला
दुख-भरे दिल से दुख ही छीन लिए
और जीना वबाल कर डाला
एक ख़ुश-ख़त से शख़्स ने 'हैदर'
हम को भी ख़ुश-ख़याल कर डाला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Qureshi
our suggestion based on Haidar Qureshi
As you were reading Udas Shayari Shayari