ik khwaab ki jo aankh bhigone ke liye hai | इक ख़्वाब कि जो आँख भिगोने के लिए है

  - Haidar Qureshi

ik khwaab ki jo aankh bhigone ke liye hai
ik yaad ki seene mein chubhone ke liye hai

ik zakham ki sab zakham bhula dale hain jis ne
ik gham ki jo ta-umr bhulaane ke liye hai

ik rooh ki sona hai magar mail bhari bhi
ik aag isee mail ko dhone ke liye hai

aankhon mein abhi dhool si lamhon ki jamee hai
dil mein koi sailaab sa rone ke liye hai

dil ko to bahut pehle se dhadka sa laga tha
paana tira shaayad tujhe khone ke liye hai

kashti ka ye hachkola ye mallaah ka chakkar
kashti ko nahin mujh ko dubone ke liye hai

taqdeer se lad saka hai koi kahaan haider
vo haadsa hona hai jo hone ke liye hai

इक ख़्वाब कि जो आँख भिगोने के लिए है
इक याद कि सीने में चुभोने के लिए है

इक ज़ख़्म कि सब ज़ख़्म भुला डाले हैं जिस ने
इक ग़म कि जो ता-उम्र भुलाने के लिए है

इक रूह कि सोना है मगर मैल भरी भी
इक आग इसी मैल को धोने के लिए है

आँखों में अभी धूल सी लम्हों की जमी है
दिल में कोई सैलाब सा रोने के लिए है

दिल को तो बहुत पहले से धड़का सा लगा था
पाना तिरा शायद तुझे खोने के लिए है

कश्ती का ये हचकोला ये मल्लाह का चक्कर
कश्ती को नहीं मुझ को डुबोने के लिए है

तक़दीर से लड़ सकता है कोई कहाँ 'हैदर'
वो हादसा होना है जो होने के लिए है

  - Haidar Qureshi

Hadsa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Qureshi

As you were reading Shayari by Haidar Qureshi

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Qureshi

Similar Moods

As you were reading Hadsa Shayari Shayari