us darbaar mein laazim tha apne sar ko kham karte
warna kam-az-kam apni awaaz hi madhham karte
is ki ana taskin nahin paati khaali lafzon se
shaayad kuchh ho jaata asar tum giryaa-e-paiham karte
seekh liya hai aakhir ham ne ishq mein khush khush rahna
dard ko apni dava banaate zakham ko marham karte
kaam hamaare hisse ke sab kar gaya tha deewana
kaun sa aisa kaam tha baaki jis ko ab ham karte
har jaane waale ko dekh ke rakh liya dil par patthar
kis kis ko rote aakhir kis kis ka maatam karte
dil to hamaara jise patthar se bhi sakht hua tha
patthar paani ho gaya sookhi aankhon ko nam karte
ban jaata tiryaaq usi ka zahar agar tum haider
koi aayat pyaar ki padhte aur us par dam karte
उस दरबार में लाज़िम था अपने सर को ख़म करते
वर्ना कम-अज़-कम अपनी आवाज़ ही मद्धम करते
इस की अना तस्कीन नहीं पाती ख़ाली लफ़्ज़ों से
शायद कुछ हो जाता असर तुम गिर्या-ए-पैहम करते
सीख लिया है आख़िर हम ने इश्क़ में ख़ुश ख़ुश रहना
दर्द को अपनी दवा बनाते ज़ख़्म को मरहम करते
काम हमारे हिस्से के सब कर गया था दिवाना
कौन सा ऐसा काम था बाक़ी जिस को अब हम करते
हर जाने वाले को देख के रख लिया दिल पर पत्थर
किस किस को रोते आख़िर किस किस का मातम करते
दिल तो हमारा जिसे पत्थर से भी सख़्त हुआ था
पत्थर पानी हो गया सूखी आँखों को नम करते
बन जाता तिरयाक़ उसी का ज़हर अगर तुम 'हैदर'
कोई आयत प्यार की पढ़ते और उस पर दम करते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Qureshi
our suggestion based on Haidar Qureshi
As you were reading Paani Shayari Shayari