mere us ke darmiyaan jo fasla rakha gaya
us ke tay karne ko bhi ik raasta rakha gaya
aks kho jaayen agar halka sa kankar bhi gire
paaniyon mein ek aisa aaina rakha gaya
sab taqaze vaise poore ho gaye insaaf ke
bas faqat mahfooz mera faisla rakha gaya
na-rasaai ki aziyyat hi rahi apna naseeb
mil gai roohen to jismoon ko juda rakha gaya
bhar ke aankhon mein sulagte khwaab us ki yaad ke
mujh ko sote mein bhi haider jaagta rakha gaya
मेरे उस के दरमियाँ जो फ़ासला रक्खा गया
उस के तय करने को भी इक रास्ता रक्खा गया
अक्स खो जाएँ अगर हल्का सा कंकर भी गिरे
पानियों में एक ऐसा आइना रक्खा गया
सब तक़ाज़े वैसे पूरे हो गए इंसाफ़ के
बस फ़क़त महफ़ूज़ मेरा फ़ैसला रक्खा गया
ना-रसाई की अज़िय्यत ही रही अपना नसीब
मिल गई रूहें तो जिस्मों को जुदा रक्खा गया
भर के आँखों में सुलगते ख़्वाब उस की याद के
मुझ को सोते में भी 'हैदर' जागता रक्खा गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Qureshi
our suggestion based on Haidar Qureshi
As you were reading Child labour Shayari Shayari