lafz teri yaad ke sab be-sada kar aaye hain | लफ़्ज़ तेरी याद के सब बे-सदा कर आए हैं

  - Haidar Qureshi

lafz teri yaad ke sab be-sada kar aaye hain
saare manzar aainon se khud mita kar aaye hain

jal chuke saari mehkati khwahishon ke jab gulaab
mausamon ke dukh nigaahon mein jala kar aaye hain

ek lamhe mein kai sadiyon ke naate tod kar
sochte hain apne haathon se ye kya kar aaye hain

raaste to kho chuke the apni har pehchaan tak
ham janaaze manzilon ke khud utha kar aaye hai

saare rishte jhooth hain saare ta'alluq par fareb
phir bhi sab qaaim rahein ye bad-dua kar aaye hain

har chhalakte ashk mein tasveer jhalkegi tiri
naqsh paani par tira anmit bana kar aaye hain

maut se pehle jahaan mein chand saanson ka azaab
zindagi jo qarz tera tha ada kar aaye hain

saare shikwe bhool kar aao milen haider unhen
vo gaye lamhon ko phir waapas bula kar aaye hain

लफ़्ज़ तेरी याद के सब बे-सदा कर आए हैं
सारे मंज़र आइनों से ख़ुद मिटा कर आए हैं

जल चुके सारी महकती ख़्वाहिशों के जब गुलाब
मौसमों के दुख निगाहों में जला कर आए हैं

एक लम्हे में कई सदियों के नाते तोड़ कर
सोचते हैं अपने हाथों से ये क्या कर आए हैं

रास्ते तो खो चुके थे अपनी हर पहचान तक
हम जनाज़े मंज़िलों के ख़ुद उठा कर आए है

सारे रिश्ते झूट हैं सारे तअ'ल्लुक़ पर फ़रेब
फिर भी सब क़ाएम रहें ये बद-दुआ' कर आए हैं

हर छलकते अश्क में तस्वीर झलकेगी तिरी
नक़्श पानी पर तिरा अनमिट बना कर आए हैं

मौत से पहले जहाँ में चंद साँसों का अज़ाब
ज़िंदगी जो क़र्ज़ तेरा था अदा कर आए हैं

सारे शिकवे भूल कर आओ मिलें 'हैदर' उन्हें
वो गए लम्हों को फिर वापस बुला कर आए हैं

  - Haidar Qureshi

Tasweer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Qureshi

As you were reading Shayari by Haidar Qureshi

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Qureshi

Similar Moods

As you were reading Tasweer Shayari Shayari