jo bas mein hai vo kar jaana zaroori ho gaya hai
tiri chaahat mein mar jaana zaroori ho gaya hai
hamein to ab kisi agli mohabbat ke safar par
nahin jaana tha par jaana zaroori ho gaya hai
sitaara jab mera gardish se baahar aa raha hai
to phir dil ka thehar jaana zaroori ho gaya hai
darakhton par parinde laut aana chahte hain
khizaa-rut ka guzar jaana zaroori ho gaya hai
andhera is qadar gahra gaya hai dil ke andar
koi suraj ubhar jaana zaroori ho gaya hai
bahut mushkil hua andar ke rezon ko chhupaana
so ab apna bikhar jaana zaroori ho gaya hai
tujhe main apne har dukh se bachaana chahta hoon
tire dil se utar jaana zaroori ho gaya hai
naye zakhamon ka haq banta hai ab is dil pe haider
purane zakham bhar jaana zaroori ho gaya hai
जो बस में है वो कर जाना ज़रूरी हो गया है
तिरी चाहत में मर जाना ज़रूरी हो गया है
हमें तो अब किसी अगली मोहब्बत के सफ़र पर
नहीं जाना था पर जाना ज़रूरी हो गया है
सितारा जब मिरा गर्दिश से बाहर आ रहा है
तो फिर दिल का ठहर जाना ज़रूरी हो गया है
दरख़्तों पर परिंदे लौट आना चाहते हैं
ख़िज़ाँ-रुत का गुज़र जाना ज़रूरी हो गया है
अंधेरा इस क़दर गहरा गया है दिल के अंदर
कोई सूरज उभर जाना ज़रूरी हो गया है
बहुत मुश्किल हुआ अंदर के रेज़ों को छुपाना
सो अब अपना बिखर जाना ज़रूरी हो गया है
तुझे मैं अपने हर दुख से बचाना चाहता हूँ
तिरे दिल से उतर जाना ज़रूरी हो गया है
नए ज़ख़्मों का हक़ बनता है अब इस दिल पे 'हैदर'
पुराने ज़ख़्म भर जाना ज़रूरी हो गया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Qureshi
our suggestion based on Haidar Qureshi
As you were reading Aawargi Shayari Shayari