vasl ki shab thi aur ujaale kar rakhe the | वस्ल की शब थी और उजाले कर रक्खे थे

  - Haidar Qureshi

vasl ki shab thi aur ujaale kar rakhe the
jism o jaan sab us ke hawaale kar rakhe the

jaise ye pehla aur aakhiri mel hua ho
haal to dono ne behaale kar rakhe the

khoj rahe the rooh ko jismoon ke raaste se
taur-tareeqe paagalon waale kar rakhe the

ham se nadaanon ne ishq ki barkat hi se
kaise kaise kaam niraale kar rakhe the

vo bhi tha kuchh halke halke se mek-ap mein
baal apne ham ne bhi kaale kar rakhe the

apne aap hi aaya tha phir marham ban kar
jis ne hamaare dil mein chaale kar rakhe the

haider apni taaseeren le aaye aakhir
hijr mein ham ne jitne naale kar rakhe the

वस्ल की शब थी और उजाले कर रक्खे थे
जिस्म ओ जाँ सब उस के हवाले कर रक्खे थे

जैसे ये पहला और आख़िरी मेल हुआ हो
हाल तो दोनों ने बेहाले कर रक्खे थे

खोज रहे थे रूह को जिस्मों के रस्ते से
तौर-तरीक़े पागलों वाले कर रक्खे थे

हम से नादानों ने इश्क़ की बरकत ही से
कैसे कैसे काम निराले कर रक्खे थे

वो भी था कुछ हल्के हल्के से मेक-अप में
बाल अपने हम ने भी काले कर रक्खे थे

अपने आप ही आया था फिर मरहम बन कर
जिस ने हमारे दिल में छाले कर रक्खे थे

'हैदर' अपनी तासीरें ले आए आख़िर
हिज्र में हम ने जितने नाले कर रक्खे थे

  - Haidar Qureshi

Mulaqat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Qureshi

As you were reading Shayari by Haidar Qureshi

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Qureshi

Similar Moods

As you were reading Mulaqat Shayari Shayari