fasl-e-gham ki jab nau-khezi ho jaati hai | फ़स्ल-ए-ग़म की जब नौ-ख़ेज़ी हो जाती है

  - Haidar Qureshi

fasl-e-gham ki jab nau-khezi ho jaati hai
dard ki maujon mein bhi tezi ho jaati hai

paani mein bhi chaand sitaare ug aate hain
aankh se dil tak vo zarkhezi ho jaati hai

andar ke jungle se aa jaati hain yaadein
aur fazaa mein sandal-bezi ho jaati hai

khushiyaan gham mein bilkul ghul-mil si jaati hain
aur nashaat mein gham-angezi ho jaati hai

sheerin se lehje mein bhar jaati hai talkhi
heela-jooi jab parvezi ho jaati hai

be-had power jis ko bhi mil jaaye us ki
tarz yazidi ya changezi ho jaati hai

ghazalon mein vaise to sach kehta hoon lekin
kuchh na kuchh to rang-aamezi ho jaati hai

husn tumhaara to hai sach aur khair saraapa
ham se hi bas shar-angezi ho jaati hai

zaahir ka parda hatne waali manzil par
saalik se bhi bad-parhezi ho jaati hai

roomi ko haider jab bhi padhne lagta hoon
baatin ki duniya tabrezi ho jaati hai

फ़स्ल-ए-ग़म की जब नौ-ख़ेज़ी हो जाती है
दर्द की मौजों में भी तेज़ी हो जाती है

पानी में भी चाँद सितारे उग आते हैं
आँख से दिल तक वो ज़रख़ेज़ी हो जाती है

अंदर के जंगल से आ जाती हैं यादें
और फ़ज़ा में संदल-बेज़ी हो जाती है

ख़ुशियाँ ग़म में बिल्कुल घुल-मिल सी जाती हैं
और नशात में ग़म-अंगेज़ी हो जाती है

शीरीं से लहजे में भर जाती है तल्ख़ी
हीला-जूई जब परवेज़ी हो जाती है

बे-हद पॉवर जिस को भी मिल जाए उस की
तर्ज़ यज़ीदी या चंगेज़ी हो जाती है

ग़ज़लों में वैसे तो सच कहता हूँ लेकिन
कुछ न कुछ तो रंग-आमेज़ी हो जाती है

हुस्न तुम्हारा तो है सच और ख़ैर सरापा
हम से ही बस शर-अंगेज़ी हो जाती है

ज़ाहिर का पर्दा हटने वाली मंज़िल पर
सालिक से भी बद-परहेज़ी हो जाती है

'रूमी' को 'हैदर' जब भी पढ़ने लगता हूँ
बातिन की दुनिया तबरेज़ी हो जाती है

  - Haidar Qureshi

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Qureshi

As you were reading Shayari by Haidar Qureshi

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Qureshi

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari