dilon mein dushmanon ke is tarah dar bol uthte hain | दिलों में दुश्मनों के इस तरह डर बोल उठते हैं

  - Haidar Qureshi

dilon mein dushmanon ke is tarah dar bol uthte hain
gawaahi ko chhupaate hain to manzar bol uthte hain

meri sacchaai meri be-gunaahi sab pe zaahir hai
ki ab jungle kuein sehra samundar bol uthte hain

vo patthar-dil sahi lekin hamaara bhi ye da'wa hai
hamaare lab jinhen choo len vo patthar bol uthte hain

badal jaate hain ik lamhe mein hi taarikh ke dhaare
kabhi jo mauj mein aa kar qalander bol uthte hain

ye kya jaadu hai vo jab bhi mere milne ko aata hai
khushi se ghar ke sab deewaar aur dar bol uthte hain

zabaan-e-haq kisi ke jabr se bhi ruk nahin sakti
ki neze ki anee par bhi tange sar bol uthte hain

labon ki qaid se kya farq aaya dil ki baaton mein
ki saare lafz aankhon se ubhar kar bol uthte hain

ajab ahl-e-sitam ahl-e-wafa mein than gai haider
sitam karte hain vo aur ye mukarrar bol uthte hain

दिलों में दुश्मनों के इस तरह डर बोल उठते हैं
गवाही को छुपाते हैं तो मंज़र बोल उठते हैं

मिरी सच्चाई मेरी बे-गुनाही सब पे ज़ाहिर है
कि अब जंगल कुएँ सहरा समुंदर बोल उठते हैं

वो पत्थर-दिल सही लेकिन हमारा भी ये दा'वा है
हमारे लब जिन्हें छू लें वो पत्थर बोल उठते हैं

बदल जाते हैं इक लम्हे में ही तारीख़ के धारे
कभी जो मौज में आ कर क़लंदर बोल उठते हैं

ये क्या जादू है वो जब भी मिरे मिलने को आता है
ख़ुशी से घर के सब दीवार और दर बोल उठते हैं

ज़बान-ए-हक़ किसी के जब्र से भी रुक नहीं सकती
कि नेज़े की अनी पर भी टँगे सर बोल उठते हैं

लबों की क़ैद से क्या फ़र्क़ आया दिल की बातों में
कि सारे लफ़्ज़ आँखों से उभर कर बोल उठते हैं

अजब अहल-ए-सितम अहल-ए-वफ़ा में ठन गई 'हैदर'
सितम करते हैं वो और ये मुकर्रर बोल उठते हैं

  - Haidar Qureshi

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Qureshi

As you were reading Shayari by Haidar Qureshi

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Qureshi

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari