ajeeb karb-o-bala ki hai raat aankhon mein
sisakti pyaas labon par furaat aankhon mein
tumhein to gardish-e-dauraan ne raund daala hai
rahi na koi bhi pehli si baat aankhon mein
qataar-waar sitaaron ki jagmagahat se
saja ke laaye hain gham ki baraat aankhon mein
phir us ko daaman dil mein kahaan kahaan rakhen
samet sakte hain jo kaayenaat aankhon mein
bikhar gaye hain milan ke tamaam din haider
thehar gai hai judaai ki raat aankhon mein
अजीब कर्ब-ओ-बला की है रात आँखों में
सिसकती प्यास लबों पर फ़ुरात आँखों में
तुम्हें तो गर्दिश-ए-दौराँ ने रौंद डाला है
रही न कोई भी पहली सी बात आँखों में
क़तार-वार सितारों की जगमगाहट से
सजा के लाए हैं ग़म की बरात आँखों में
फिर उस को दामन दिल में कहाँ कहाँ रक्खें
समेट सकते हैं जो काएनात आँखों में
बिखर गए हैं मिलन के तमाम दिन 'हैदर'
ठहर गई है जुदाई की रात आँखों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Qureshi
our suggestion based on Haidar Qureshi
As you were reading Dard Shayari Shayari