khamosh aankhon se karta raha sawaal mujhe
vo aa ke kah na saka apne dil ka haal mujhe
kabhi to khud ko bhi pehchaanne ki koshish kar
hisaar-e-zaat se aa kar kabhi nikaal mujhe
ye be-yaqeeni ka gahra sukoot to toote
fareb de koi khush-fahmiyon mein daal mujhe
vo naam likkhoon to lafzon se khushbuoen utthen
vo de gaya jo mehakte hue khayal mujhe
gaye zamaane liye phir vo aa gaya haider
bikhar na jaaun kahi phir zara sanbhaal mujhe
ख़मोश आँखों से करता रहा सवाल मुझे
वो आ के कह न सका अपने दिल का हाल मुझे
कभी तो ख़ुद को भी पहचानने की कोशिश कर
हिसार-ए-ज़ात से आ कर कभी निकाल मुझे
ये बे-यक़ीनी का गहरा सुकूत तो टूटे
फ़रेब दे कोई ख़ुश-फ़हमियों में डाल मुझे
वो नाम लिक्खूँ तो लफ़्ज़ों से ख़ुशबूएँ उट्ठें
वो दे गया जो महकते हुए ख़याल मुझे
गए ज़माने लिए फिर वो आ गया 'हैदर'
बिखर न जाऊँ कहीं फिर ज़रा सँभाल मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Qureshi
our suggestion based on Haidar Qureshi
As you were reading Dil Shayari Shayari