andar ki duniyaayein mila ke ek nagar ho jaayen | अंदर की दुनियाएँ मिला के एक नगर हो जाएँ

  - Haidar Qureshi

andar ki duniyaayein mila ke ek nagar ho jaayen
ya phir aao mil kar tooten aur khandar ho jaayen

ek naam padhen yun dono aur dua yun maange
ya sajde se sar na uthe ya lafz asar ho jaayen

khair aur shar ki aamezish aur aawezish se nikhrein
bhool aur tauba karte saare saans basar ho jaayen

ham azli aawaara jin ka ghar hi nahin hai koi
lekin jin raston se guzre raaste ghar ho jaayen

ek gunah jo faani kar ke chhod gaya dharti par
wahi gunah dobara kar len aur amar ho jaayen

sufi sadhu ban kar teri khoj mein aise niklen
khud hi apna rasta manzil aur safar ho jaayen

rizq ki tangi ishq ka rog aur log munaafiq saare
aao aise shehar se haider shahr-badar ho jaayen

अंदर की दुनियाएँ मिला के एक नगर हो जाएँ
या फिर आओ मिल कर टूटें और खंडर हो जाएँ

एक नाम पढ़ें यूँ दोनों और दुआ यूँ माँगें
या सज्दे से सर न उठें या लफ़्ज़ असर हो जाएँ

ख़ैर और शर की आमेज़िश और आवेज़िश से निखरें
भूल और तौबा करते सारे साँस बसर हो जाएँ

हम अज़ली आवारा जिन का घर ही नहीं है कोई
लेकिन जिन रस्तों से गुज़रें रस्ते घर हो जाएँ

एक गुनह जो फ़ानी कर के छोड़ गया धरती पर
वही गुनह दोबारा कर लें और अमर हो जाएँ

सूफ़ी साधू बन कर तेरी खोज में ऐसे निकलें
ख़ुद ही अपना रस्ता मंज़िल और सफ़र हो जाएँ

रिज़्क़ की तंगी इश्क़ का रोग और लोग मुनाफ़िक़ सारे
आओ ऐसे शहर से 'हैदर' शहर-बदर हो जाएँ

  - Haidar Qureshi

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Qureshi

As you were reading Shayari by Haidar Qureshi

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Qureshi

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari