toota hai bas khushi ka bharam aur kuchh nahin
paaya hai sirf dard-o-alam aur kuchh nahin
mujh par garaan ye hijr ki ab kaali raat hai
tanhaaiyon mein ghutta hai dam aur kuchh nahin
bechainiyon ke saath tahal kar tamaam raat
paanv mein rah gaye hain varm aur kuchh nahin
munh modna vo dil ka jalana mere habeeb
dhaaye gaye hain mujh pe sitam aur kuchh nahin
dhadkan udaas dil pe udaasi ki dhoop hai
lipta hai mujh se tera ye gham aur kuchh nahin
haider ki dhadkano ki sada hai ye hum-nasheen
dil pe hai tera naam raqam aur kuchh nahin
टूटा है बस ख़ुशी का भरम और कुछ नहीं
पाया है सिर्फ़ दर्द-ओ-अलम और कुछ नहीं
मुझ पर गराँ ये हिज्र की अब काली रात है
तन्हाइयों में घुटता है दम और कुछ नहीं
बेचैनियों के साथ टहल कर तमाम रात
पाँव में रह गए हैं वरम और कुछ नहीं
मुँह मोड़ना वो दिल का जलाना मिरे हबीब
ढाए गए हैं मुझ पे सितम और कुछ नहीं
धड़कन उदास दिल पे उदासी की धूप है
लिपटा है मुझ से तेरा ये ग़म और कुछ नहीं
'हैदर' की धड़कनों की सदा है ये हम-नशीं
दिल पे है तेरा नाम रक़म और कुछ नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar raza Koralvi
our suggestion based on Haidar raza Koralvi
As you were reading Ujaala Shayari Shayari