vahshatein phaili hain har soo do-jahaan khaamosh hai | वहशतें फैली हैं हर सू दो-जहाँ ख़ामोश है

  - Haidar raza Koralvi

vahshatein phaili hain har soo do-jahaan khaamosh hai
hai zameen giryaa-kunaan aur aasmaan khaamosh hai

betiyon ke maan hona chahiye apmaan hai
dekh kar sab kuchh bhi ye hindostaan khaamosh hai

zulmato_n ki aanch se jhulse ghareebon ke hi ghar
aag badhti ja rahi hai aur dhuaan khaamosh hai

tha chaman gulzaar pehle ab hai ujadi vaadiyaan
ho gaya barbaad gulshan baagbaan khaamosh hai

jaante to hain yahan sab hi siyaasat ke fareb
kya khabar kis maslahat se har zabaan khaamosh hai

वहशतें फैली हैं हर सू दो-जहाँ ख़ामोश है
है ज़मीं गिर्या-कुनाँ और आसमाँ ख़ामोश है

बेटियों के मान होना चाहिए अपमान है
देख कर सब कुछ भी ये हिन्दोस्ताँ ख़ामोश है

ज़ुल्मतों की आँच से झुलसे ग़रीबों के ही घर
आग बढ़ती जा रही है और धुआँ ख़ामोश है

था चमन गुलज़ार पहले अब है उजड़ी वादियाँ
हो गया बर्बाद गुलशन बाग़बाँ ख़ामोश है

जानते तो हैं यहाँ सब ही सियासत के फ़रेब
क्या ख़बर किस मस्लहत से हर ज़बाँ ख़ामोश है

  - Haidar raza Koralvi

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar raza Koralvi

As you were reading Shayari by Haidar raza Koralvi

Similar Writers

our suggestion based on Haidar raza Koralvi

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari