jo vo nazar basar-e-lutf aam ho jaaye
ajab nahin ki hamaara bhi kaam ho jaaye
sharaab-e-shauq ki qeemat hai naqd-e-jaan-e-azeem
agar ye bais-e-kaif-e-davaam ho jaaye
raheen-e-yaas rahein ahl-e-aarzoo kab tak
kabhi to aap ka darbaar aam ho jaaye
jo aur kuchh ho tiri deed ke siva manzoor
to mujh pe khwahish-e-jannat haraam ho jaaye
vo door hi se hamein dekh len yahi hai bahut
magar qubool hamaara salaam ho jaaye
agar vo husn-e-dil-aara kabhi ho jalwa farosh
farogh-e-noor mein gum zarf-e-baam ho jaaye
suna hai barsar-e-bakhshish hai aaj peer mugaan
hamein bhi kaash ata koi jaam ho jaaye
tire karam pe hai mauqoof kaamraani-e-shauq
ye na-tamaam ilaahi tamaam ho jaaye
sitam ke baad karam hai jafaa ke baad ata
hamein hai bas jo yahi iltizaam ho jaaye
ata ho soz vo ya rab junoon-e-'hasrat ko
ki jis se pukhta ye sauda-e-khaam ho jaaye
जो वो नज़र बसर-ए-लुत्फ़ आम हो जाए
अजब नहीं कि हमारा भी काम हो जाए
शराब-ए-शौक़ की क़ीमत है नक़्द-ए-जान-ए-अज़ीज़
अगर ये बाइस-ए-कैफ़-ए-दवाम हो जाए
रहीन-ए-यास रहें अहल-ए-आरज़ू कब तक
कभी तो आप का दरबार आम हो जाए
जो और कुछ हो तिरी दीद के सिवा मंज़ूर
तो मुझ पे ख़्वाहिश-ए-जन्नत हराम हो जाए
वो दूर ही से हमें देख लें यही है बहुत
मगर क़ुबूल हमारा सलाम हो जाए
अगर वो हुस्न-ए-दिल-आरा कभी हो जल्वा फ़रोश
फ़रोग़-ए-नूर में गुम ज़र्फ़-ए-बाम हो जाए
सुना है बरसर-ए-बख़ि़्शश है आज पीर मुग़ाँ
हमें भी काश अता कोई जाम हो जाए
तिरे करम पे है मौक़ूफ़ कामरानी-ए-शौक़
ये ना-तमाम इलाही तमाम हो जाए
सितम के बाद करम है जफ़ा के बाद अता
हमें है बस जो यही इल्तिज़ाम हो जाए
अता हो सोज़ वो या रब जुनून-ए-'हसरत' को
कि जिस से पुख़्ता ये सौदा-ए-ख़ाम हो जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hasrat Mohani
our suggestion based on Hasrat Mohani
As you were reading Ghayal Shayari Shayari