hijr kaafi nahin is mast deewane ke liye | हिज्र काफ़ी नहीं इस मस्त दिवाने के लिए - Himanshu Kuniyal

hijr kaafi nahin is mast deewane ke liye
hai koi aur wajah dil ko jalane ke liye

ek vaada hai tera aag lagaane ke liye
ek ummeed hai is dil ko dukhaane ke liye

hamaare zakham hamaare siva kisi ke na hon
shukriya yaar humein chhod ke jaane ke liye

dil ne tumko to pukaara tha kai baar magar
band hain raaste ab laut kar aane ke liye

mujhse sab chheenne ka tu use ilzaam na de
ashk baaki hain mere paas bahaane ke liye

हिज्र काफ़ी नहीं इस मस्त दिवाने के लिए
है कोई और वजह दिल को जलाने के लिए

एक वादा है तेरा आग लगाने के लिए
एक उम्मीद है इस दिल को दुखाने के लिए

हमारे ज़ख़्म हमारे सिवा किसी के न हों
शुक्रिया यार हमें छोड़ के जाने के लिए

दिल ने तुमको तो पुकारा था कई बार मगर
बंद हैं रास्ते अब लौट कर आने के लिए

मुझसे सब छीनने का तू उसे इल्ज़ाम न दे
अश्क बाकी हैं मेरे पास बहाने के लिए

- Himanshu Kuniyal
0 Likes

One sided love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Himanshu Kuniyal

As you were reading Shayari by Himanshu Kuniyal

Similar Writers

our suggestion based on Himanshu Kuniyal

Similar Moods

As you were reading One sided love Shayari Shayari