hota raha azal se jabhi roshni ka zikr
to saath mein hua hai sada teergi ka zikr
aisa rahega shayari mein ankahi ka zikr
jaise ki apni zindagi mein zindagi ka zikr
dil jab se mera kar raha hai khaamoshi ka zikr
karne lagi hai rooh meri aagahi ka zikr
main aatishe-jaan soz hoon prahlad mera naam
mat karna mere saamne tum aatishi ka zikr
main dasht mein pyaason ko to baaton mein lagata
karna nahin tha tumne wahan tishnagi ka zikr
naakaam ho gaye ho use padh ke to yahan kyun
lab pe tumhaare sher hain aur shayari ka zikr
dairo haram ko aapne ne jabse hai banaya
hota nahin kabhi zameen pe aadmi ka zikr
होता रहा अज़ल से जभी रोशनी का ज़िक्र
तो साथ में हुआ है सदा तीरगी का ज़िक्र
ऐसा रहेगा शायरी में अनकही का ज़िक्र
जैसे की अपनी ज़िंदगी में ज़िंदगी का ज़िक्र
दिल जब से मेरा कर रहा है ख़ामुशी का ज़िक्र
करने लगी है रूह मेरी आगही का ज़िक्र
मैं आतिशे-जाँ सोज़ हूँ प्रहलाद मेरा नाम
मत करना मेरे सामने तुम आतिशी का ज़िक्र
मैं दश्त में प्यासों को तो बातों में लगाता
करना नहीं था तुमने वहाँ तिश्नगी का ज़िक्र
नाकाम हो गए हो उसे पढ़ के तो यहाँ क्यों
लब पे तुम्हारे शेर हैं और शायरी का ज़िक्र
दैरो हरम को आपने ने जबसे है बनाया
होता नहीं कभी ज़मीं पे आदमी का ज़िक्र
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Himanshu Kuniyal
our suggestion based on Himanshu Kuniyal
As you were reading Andhera Shayari Shayari