duniya tere fareb me aaya nahin hoon main
yaani teri kamaan ka neza nahin hoon main
haalanki ye badan mera mitti hi hai magar
bin paanch rukn ke koi khaaka nahin hoon main
dhoke ki bhattiyon mein jalaya gaya main par
mitti ke bartanon sa to kaccha nahin hoon main
main ishq mein tere to girftaar hoon magar
haasil hue ghulaam ke jaisa nahin hoon main
main ek shah hoon jo apaahij hai doston
phir bhi badon ki baat ko sunta nahin hoon main
mujhko mere farize ka tu ilm mat sikha
is zeest ki bisaat mein pyaada nahin hoon main
main rooh hoon mera to thikaana hai aasmaan
is jism ke saraay sa dhokha nahin hoon main
har roz ye jahaan mujhe dutkaarta hai kyun
jannat se bhag karke to aaya nahin hoon main
दुनिया तेरे फ़रेब मे आया नहीं हूँ मैं
यानी तेरी कमान का नेज़ा नहीं हूँ मैं
हालांकि ये बदन मेरा मिट्टी ही है मगर
बिन पाँच रुक्न के कोई खाक़ा नहीं हूँ मैं
धोखे की भट्टियों में जलाया गया मैं पर
मिट्टी के बर्तनों सा तो कच्चा नहीं हूँँ मैं
मैं इश्क़ में तेरे तो गिरफ़्तार हूँ मगर
हासिल हुए गुलाम के जैसा नहीं हूँ मैं
मैं एक शाह हूँ जो अपाहिज है दोस्तों
फिर भी बड़ों की बात को सुनता नहीं हूँ मैं
मुझको मेरे फ़रीज़े का तू इल्म मत सिखा
इस ज़ीस्त की बिसात में प्यादा नहीं हूँ मैं
मैं रूह हूँ मेरा तो ठिकाना है आसमाँ
इस जिस्म के सराय सा धोखा नहीं हूँ मैं
हर रोज़ ये जहाँ मुझे दुत्कारता है क्यों
जन्नत से भाग करके तो आया नहीं हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Himanshu Kuniyal
our suggestion based on Himanshu Kuniyal
As you were reading Education Shayari Shayari