kahi pe chaand sitaaron ki baat hoti hai
kahi madmast bahaaron ki baat hoti hai
buri jhalak se pehal is nazar se ik lamha
yahan haseen nazaaron ki baat hoti hai
mujhe vo doobti kashti bahut rulaati hai
bhanwar mein jisse kinaaron ki baat hoti hai
mujhe qaza sahi lagti hai beqaraari se
kabhi jo dasht mein dhaaron ki baat hoti hai
sharf khuda se ye keval sukhun ne paaya hai
isee mein hijr ke maaron ki baat hoti hai
कहीं पे चांँद सितारों की बात होती है
कहीं मदमस्त बहारों की बात होती है
बुरी झलक से पहल इस नज़र से इक लम्हा
यहाँ हसीन नज़ारों की बात होती है
मुझे वो डूबती कश्ती बहुत रुलाती है
भँवर में जिससे किनारों की बात होती है
मुझे क़ज़ा सही लगती है बेक़रारी से
कभी जो दश्त में धारों की बात होती है
शरफ़ ख़ुदा से ये केवल सुख़न ने पाया है
इसी में हिज्र के मारों की बात होती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Himanshu Kuniyal
our suggestion based on Himanshu Kuniyal
As you were reading Hijrat Shayari Shayari