ke tere vaaste ya phir khuda ki marzi se | के तेरे वास्ते या फिर ख़ुदा की मर्ज़ी से - Himanshu Kuniyal

ke tere vaaste ya phir khuda ki marzi se
main raha gham mein pareshaan bahut chuppi se

tu mujhe pooch meri bebaasi ke baare mein
aab hi cheen liya jaise kisi machhli se

vo mere haath mere dil se yakaayak nikla
jaise ki ret fislati rahi ho mutthi se

ai meri jaan mujhe ek gila hai tujhse
pyaar se tune mujhe dekha nahin khidki se

waqt se ek shikaayat yahi hai har ik ko
tune kirdaar banaya hai mera maazi se

main tire haath tire dil se nikalta kaise
tune har baar mujhe kaid rakha sakhti se

vo jise sabne suhaagan ki nishaani bola
chot har waqt lagi hai use us choodi se

के तेरे वास्ते या फिर ख़ुदा की मर्ज़ी से
मैं रहा ग़म में परेशान बहुत चुप्पी से

तू मुझे पूछ मेरी बेबसी के बारे में
आब ही छीन लिया जैसे किसी मछली से

वो मिरे हाथ मिरे दिल से यकायक निकला
जैसे की रेत फिसलती रही हो मुट्ठी से

ऐ मिरी जान मुझे एक गिला है तुझसे
प्यार से तूने मुझे देखा नहीं खिड़की से

वक़्त से एक शिकायत यही है हर इक को
तूने किरदार बनाया है मिरा माज़ी से

मैं तिरे हाथ तिरे दिल से निकलता कैसे
तूने हर बार मुझे कैद रखा सख़्ती से

वो जिसे सबने सुहागन की निशानी बोला
चोट हर वक़्त लगी है उसे उस चूड़ी से

- Himanshu Kuniyal
0 Likes

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Himanshu Kuniyal

As you were reading Shayari by Himanshu Kuniyal

Similar Writers

our suggestion based on Himanshu Kuniyal

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari