ik to use har baat mein had chahiye meri
phir us pe mohabbat bhi ashd chahiye meri
pehle use darkaar thi shaam aur ye shaana
ab mujh ko bhulaane mein madad chahiye meri
boo aane lagi tujh se bhi duniya ki mere yaar
kuchh roz mujhe sohbat-e-bad chahiye meri
kahti hai farishton ki tarah tokoon na rokun
aur aadmi waali bhi sanad chahiye meri
kya din mein zaroori hai ki auron mein raho tum
kya raat mein bas niyyat-e-bad chahiye meri
इक तो उसे हर बात में हद चाहिए मेरी
फिर उस पे मोहब्बत भी अशद चाहिए मेरी
पहले उसे दरकार थी शाम और ये शाना
अब मुझ को भुलाने में मदद चाहिए मेरी
बू आने लगी तुझ से भी दुनिया की मिरे यार
कुछ रोज़ मुझे सोहबत-ए-बद चाहिए मेरी
कहती है फ़रिश्तों की तरह टोकूँ न रोकूँ
और आदमी वाली भी सनद चाहिए मेरी
क्या दिन में ज़रूरी है कि औरों में रहो तुम
क्या रात में बस निय्यत-ए-बद चाहिए मेरी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ibraheem Hammad
our suggestion based on Ibraheem Hammad
As you were reading Baaten Shayari Shayari