ek daf'a vo mujhe dil mein to aane deta | एक दफ़अ' वो मुझे दिल में तो आने देता

  - Ibraheem Hammad

ek daf'a vo mujhe dil mein to aane deta
main use shaam nahin deta zamaane deta

aap ke gham pe bahut kaam kiya hai main ne
ab main rota hoon to aansu nahin aane deta

vo mujhe ek se pehle nahin sone deti
main use khwaab se jaldi nahin jaane deta

rab ke aage to tar-o-taazaa gaya hota main
waqt kuchh der mujhe take lagaane deta

she'r ka rizq in aankhon mein hai lekin mere dost
dil mujhe hont se oopar nahin jaane deta

har haseen ladki ko tasleem kiya karta hoon
koi misra nahin main girne girane deta

एक दफ़अ' वो मुझे दिल में तो आने देता
मैं उसे शाम नहीं देता ज़माने देता

आप के ग़म पे बहुत काम किया है मैं ने
अब मैं रोता हूँ तो आँसू नहीं आने देता

वो मुझे एक से पहले नहीं सोने देती
मैं उसे ख़्वाब से जल्दी नहीं जाने देता

रब के आगे तो तर-ओ-ताज़ा गया होता मैं
वक़्त कुछ देर मुझे टेक लगाने देता

शे'र का रिज़्क़ इन आँखों में है लेकिन मिरे दोस्त
दिल मुझे होंट से ऊपर नहीं जाने देता

हर हसीं लड़की को तस्लीम किया करता हूँ
कोई मिसरा नहीं मैं गिरने गिराने देता

  - Ibraheem Hammad

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibraheem Hammad

As you were reading Shayari by Ibraheem Hammad

Similar Writers

our suggestion based on Ibraheem Hammad

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari