doosra ishq meri jaan nahin kar saka
ye tira haafiz-e-quraan nahin kar saka
aisi haalat mein tire khwaab se lautaa hai ye jism
main abhi vasl ka samaan nahin kar saka
dastaras mein hai meri kaif bhi kaifiyat bhi
zakham bhar kar mujhe hairaan nahin kar saka
un pe ghalib hai kai chehron ke ishraq ka deen
tu in aankhon ko musalmaan nahin kar saka
pehli qiston mein tiri maut nahin ho sakti
apne theatre ko mein veeraan nahin kar saka
ye mera aakhiri patthar hai tiri yaad mein dost
ab main paani ko pareshaan nahin kar saka
दूसरा इश्क़ मिरी जान नहीं कर सकता
ये तिरा हाफ़िज़-ए-क़ुरआन नहीं कर सकता
ऐसी हालत में तिरे ख़्वाब से लौटा है ये जिस्म
मैं अभी वस्ल का सामान नहीं कर सकता
दस्तरस में है मिरी कैफ़ भी कैफ़ियत भी
ज़ख़्म भर कर मुझे हैरान नहीं कर सकता
उन पे ग़ालिब है कई चेहरों के इशराक़ का दीन
तू इन आँखों को मुसलमान नहीं कर सकता
पहली क़िस्तों में तिरी मौत नहीं हो सकती
अपने थेटर को में वीरान नहीं कर सकता
ये मिरा आख़िरी पत्थर है तिरी याद में दोस्त
अब मैं पानी को परेशान नहीं कर सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ibraheem Hammad
our suggestion based on Ibraheem Hammad
As you were reading Kamar Shayari Shayari