phatte iraade yaqeen museebat paanv dhulaaye
chashma ki hont shabeeh-e-luaab mayassar raat anokha saanehaa ho jaayega
maile kanwal ke phool dubota lipt lipt kar choomta paani paani paani
nadaamat se maghloob kharaabi madd-o-jazr maujood tabeeyat ka takhreeb tamasha
murajat aankhon se ojhal chhooti bahaati be-tarteeb azaab hai
haree-bharee bechaargi kaise aks-e-shabaahat pankhudiyo ka
vo jo iraade ki tarkeeb nahin pa saka larz raha hai
phool tashaddud khauf mein ghark-e-haraarat doobti ubharti patiyaan
kenchuli utre to baat bane main kah doon kar guzroon
aasaab tashannuj phailti be-rukh baaton ki tardid-e-qayaamat kar bhi chuko
ye haadsa dayra sa ye simtata phailta sarpat bhaagte qadmon ki loo par jal-bhun raakh ho
shola thirkata reedh ki haddi se maghz ke hukm-e-salaasil chaatta
din paane ki laghzish kar le kar hi le majboori aa leti hai
chau-gard ki gardish raakh qareene ki yakjaai tamseel-e-b-zaahir ki taaid mein rakhti hai
ungaliyaan ungaliyaan baatein baatein paseena paseena baaki baaki
aur bechaargi
taaham to ye tayqquun tark-e-taghaful thehre
qaul qayamat aane ke jatan kare taqreeb-e-tamaasha dhunde
chhupi rahe tadpaaye tadpe
फटते इरादे यक़ीन मुसीबत पाँव धुलाए
चश्मा कि होंट शबीह-ए-लुआब मयस्सर रात अनोखा सानेहा हो जाएगा
मैले कँवल के फूल डुबोता लिपट लिपट कर चूमता पानी, पानी पानी
नदामत से मग़्लूब ख़राबी: मद्द-ओ-जज़्र मौजूद तबीअत का तख़रीब तमाशा
मुराजअत आँखों से ओझल छूती बहाती बे-तरतीब अज़ाब है
हरी-भरी बेचारगी कैसे? अक्स-ए-शबाहत पंखुड़ियों का
वो जो इरादे की तरकीब नहीं पा सकता लरज़ रहा है
फूल तशद्दुद ख़ौफ़ में ग़र्क़-ए-हरारत डूबती उभरती पतियाँ
केंचुली उतरे तो बात बने मैं कह दूँ? कर गुज़रूँ?
आसाब तशन्नुज फैलती बे-रुख़ बातों की तरदीद-ए-क़यामत कर भी चुको
ये हादसा दायरा सा ये सिमटता फैलता सरपट भागते क़दमों की लू पर जल-भुन राख हो
शोला थिरकता रीढ़ की हड्डी से मग़्ज़ के हुक्म-ए-सलासिल चाटता
दिन पाने की लग़्ज़िश कर ले कर ही ले मजबूरी आ लेती है
चौ-गर्द की गर्दिश राख क़रीने की यकजाई तमसील-ए-ब-ज़ाहिर की ताईद में रखती है
उँगलियाँ उँगलियाँ, बातें बातें, पसीना पसीना, बाक़ी बाक़ी
और बेचारगी
ताहम तो ये तयक़्क़ुन तर्क-ए-तग़ाफ़ुल ठहरे
क़ौल क़यामत आने के जतन करे तक़रीब-ए-तमाशा ढूँडे
छुपी रहे, तड़पाए, तड़पे
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Iftikhar Jalib
As you were reading Hadsa Shayari Shayari