main khizaan mein girftaar hoon | मैं ख़िज़ाँ में गिरफ़्तार हूँ

  - Iftikhar Jalib

main khizaan mein girftaar hoon
dekho khwaabida maujon khareedaar roohon
umdate simtate zamaanon se
arz-o-sama ki siyaahi ka daaman nichoda hai
lekin hawaon ke wahm-o-gumaan mein nahin
kaun si khaak se
qatra-e-aab taabinda-moti ki aaghosh leta hai
khwaahish se baahar na aaun meri ibtida intiha
aaj samundar ki silvat mein taabindagi hai
samundar ko pighla
bata mere seene mein kis kis ki awaaz hai
khet mein baagbaan mar chuka hai
zameen khoon-chakaan hai
sitaare nahin hain faqat saaebaan hai

मैं ख़िज़ाँ में गिरफ़्तार हूँ
देखो ख़्वाबीदा मौजों ख़रीदार रूहों
उमडते सिमटते ज़मानों से
अर्ज़-ओ-समा की सियाही का दामन निचोड़ा है
लेकिन हवाओं के वहम-ओ-गुमाँ में नहीं
कौन सी ख़ाक से
क़तरा-ए-आब ताबिंदा-मोती की आग़ोश लेता है
ख़्वाहिश से बाहर न आऊँ मिरी इब्तिदा इंतिहा
आज समुंदर की सिलवट में ताबिंदगी है
समुंदर को पिघला
बता मेरे सीने में किस किस की आवाज़ है
खेत में बाग़बाँ मर चुका है
ज़मीं ख़ूँ-चकाँ है
सितारे नहीं हैं फ़क़त साएबाँ है

  - Iftikhar Jalib

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Jalib

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari