manzilon ka main pata bhi doonga | मंज़िलों का मैं पता भी दूँगा

  - Ikram Tabassum

manzilon ka main pata bhi doonga
khud ko raaste se hata bhi doonga

itna ehsaan-faramosh nahin
bewafaai ka sila bhi doonga

apni hasrat to vo poori kar le
dushman-e-jaan ko dua bhi doonga

pehle darwaaze pe dastak de luun
phir ye deewaar gira bhi doonga

zindagi jurm to aayeda kar de
be-gunaahi ko saza bhi doonga

qatl bhi main hi karunga khud ko
aur phir khoon-baha bhi doonga

aag bharkhegi tabassum apni
yaani sholon ko hawa bhi doonga

मंज़िलों का मैं पता भी दूँगा
ख़ुद को रस्ते से हटा भी दूँगा

इतना एहसान-फ़रामोश नहीं
बेवफ़ाई का सिला भी दूँगा

अपनी हसरत तो वो पूरी कर ले
दुश्मन-ए-जाँ को दुआ भी दूँगा

पहले दरवाज़े पे दस्तक दे लूँ
फिर ये दीवार गिरा भी दूँगा

ज़िंदगी जुर्म तो आएद कर दे
बे-गुनाही को सज़ा भी दूँगा

क़त्ल भी मैं ही करूँगा ख़ुद को
और फिर ख़ून-बहा भी दूँगा

आग भड़केगी 'तबस्सुम' अपनी
यानी शोलों को हवा भी दूँगा

  - Ikram Tabassum

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ikram Tabassum

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari