june ka tapta mahina timtimaata aftaab | जून का तपता महीना तिम्तिमाता आफ़्ताब

  - Jaan Nisar Akhtar

june ka tapta mahina timtimaata aftaab
dhal chuka hai din ke saanche mein jahannam ka shabaab
dopahar ik aatish-e-sayyaal barsaati hui
seena-e-kohsaar mein laava sa pighlaati hui
vo jhulsati ghaas vo pagdandiyaan paamaal si
nahar ke lab khushk se zarroon ki aankhen laal si
chilchilaati dhoop mein maidaan ko chadhta bukhaar
aah ke maanind uthata halka halka sa ghubaar
dekh vo maidaan mein hai ik bagoola be-qaraar
aandhiyon ki god mein ho jaise mufalis ka mazaar
chaak par jaise banaaye ja rahe hon zalzale
ya junoon tay kar raha ho gardishon ke marhale
dhaalna chahe zameen jis tarah koi aasmaan
jaise chakkar kha ke nikle top ke munh se dhuaan
mil raha ho jis tarah josh-e-baghaawat ko faraagh
jang chhid jaane pe jaise ek lider ka dimaagh
khushmagin abroo pe dale khaak-aalooda naqaab
junglon ki raah se aaye safeer-e-inqilaab
yun bagule mein hain tapte surkh zarre be-qaraar
jis tarah aflaas ke dil mein bagaavat ke sharaar
kas qadar azaad hai ye rooh-e-sehra ye bhi dekh
kas tarah zarroon mein hai toofaan barpa ye bhi dekh
uth bagule ki tarah maidaan mein gaata nikal
zindagi ki rooh har zarre mein daudata nikal

जून का तपता महीना तिम्तिमाता आफ़्ताब
ढल चुका है दिन के साँचे में जहन्नम का शबाब
दोपहर इक आतिश-ए-सय्याल बरसाती हुई
सीना-ए-कोहसार में लावा सा पिघलाती हुई
वो झुलसती घास वो पगडंडियाँ पामाल सी
नहर के लब ख़ुश्क से ज़र्रों की आँखें लाल सी
चिलचिलाती धूप में मैदान को चढ़ता बुख़ार
आह के मानिंद उठता हल्का हल्का सा ग़ुबार
देख वो मैदान में है इक बगूला बे-क़रार
आँधियों की गोद में हो जैसे मुफ़लिस का मज़ार
चाक पर जैसे बनाए जा रहे हों ज़लज़ले
या जुनूँ तय कर रहा हो गर्दिशों के मरहले
ढालना चाहे ज़मीं जिस तरह कोई आसमाँ
जैसे चक्कर खा के निकले तोप के मुँह से धुआँ
मिल रहा हो जिस तरह जोश-ए-बग़ावत को फ़राग़
जंग छिड़ जाने पे जैसे एक लीडर का दिमाग़
ख़शमगीं अबरू पे डाले ख़ाक-आलूदा नक़ाब
जंगलों की राह से आए सफ़ीर-ए-इंक़लाब
यूँ बगूले में हैं तपते सुर्ख़ ज़र्रे बे-क़रार
जिस तरह अफ़्लास के दिल में बग़ावत के शरार
कस क़दर आज़ाद है ये रूह-ए-सहरा ये भी देख
कस तरह ज़र्रों में है तूफ़ान बरपा ये भी देख
उठ बगूले की तरह मैदान में गाता निकल
ज़िंदगी की रूह हर ज़र्रे में दौड़ाता निकल

  - Jaan Nisar Akhtar

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari