tanhaai ko khwaab ki dastak dete dekha
dekha ik gumbad ke neeche
khada hua hoon
sunta hoon khud ki aawaazen
ye aawaazen
mujh ko waapas le jaati hain
khwaabon ke us murda-ghar mein
jo bilkul tareek pada hai
jis mein mere maazi ke kirdaaron ke
kuchh kafan pade hain
un logon ke
jo zeenat the in khwaabon ki
lekin un kirdaaron ki ab shakl nahin hai
ik taarikee hai badboo hai khaamoshi hai
murda-ghar ke pardo se
meri aawaazen jhool rahi hain
jin se ik chamgaadar ka nanha sa baccha
khel raha hai
sadkon par kohraam macha hai
kuchh to hua hai
log mare hain
lahu baha hai
aur ye chamgaadar ka baccha
meri tanhaai ka waaris
meri aawazon ki larzaan ungli thaame
mujh ko us manzar ki jaanib kheench raha hai
jahaan kisi nanhe bacche ki
laash padi hai
aur vo chamgaadar ka baccha
mere zahn ki sookhi parton mein
ehsaas ka resha dhundh raha hai
aur is thandi laash pe baitha
sisak raha hai
तन्हाई को ख़्वाब की दस्तक देते देखा
देखा इक गुम्बद के नीचे
खड़ा हुआ हूँ
सुनता हूँ ख़ुद की आवाज़ें
ये आवाज़ें
मुझ को वापस ले जाती हैं
ख़्वाबों के उस मुर्दा-घर में
जो बिल्कुल तारीक पड़ा है
जिस में मेरे माज़ी के किरदारों के
कुछ कफ़न पड़े हैं
उन लोगों के
जो ज़ीनत थे इन ख़्वाबों की
लेकिन उन किरदारों की अब शक्ल नहीं है
इक तारीकी है बदबू है ख़ामोशी है
मुर्दा-घर के पर्दों से
मेरी आवाज़ें झूल रही हैं
जिन से इक चमगादड़ का नन्हा सा बच्चा
खेल रहा है
सड़कों पर कोहराम मचा है
कुछ तो हुआ है
लोग मरे हैं
लहू बहा है
और ये चमगादड़ का बच्चा
मेरी तन्हाई का वारिस
मेरी आवाज़ों की लर्ज़ां उँगली थामे
मुझ को उस मंज़र की जानिब खींच रहा है
जहाँ किसी नन्हे बच्चे की
लाश पड़ी है
और वो चमगादड़ का बच्चा
मेरे ज़ह्न की सूखी परतों में
एहसास का रेशा ढूँड रहा है
और इस ठंडी लाश पे बैठा
सिसक रहा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagdish Prakash
our suggestion based on Jagdish Prakash
As you were reading Tanhai Shayari Shayari