malgaje se dhundlake mein jab tum university se | मल्गजे से धुँदलके में जब तुम यूनिवर्सिटी से

  - Janan Malik

malgaje se dhundlake mein jab tum university se
laut rahe hote ho
wahin campus ke baahar
main bhi to baithi hoti hoon
kabhi na khatm hone waale intizaar mein
main tumhein dekh rahi hoti hoon
aur tum
paas se aise guzar jaate ho
jaise waqif hi na ho
main wahin dahleez pe baithi rah jaati hoon
phir pul ke paas se jab tum guzarte hue
doobte suraj ko ek nazar dekhte ho
door kahi us doobte suraj ki surkh taambe aisi raushni se tumhaari dahakti jabeen par
jab daraadein padne lagti hain
main tab bhi tumhein dekh rahi hoti hoon
gali ka bulb raushan karte hue
ek pal ke liye soch mein pad jaati hoon
ab bhala mere liye mann-o-salwa kyun utarne laga
main darwaaza khole zindagi ka intizaar karti hoon
magar vo mere haath nahin aati

मल्गजे से धुँदलके में जब तुम यूनिवर्सिटी से
लौट रहे होते हो
वहीं कैम्पस के बाहर
मैं भी तो बैठी होती हूँ
कभी न ख़त्म होने वाले इंतिज़ार में
मैं तुम्हें देख रही होती हूँ
और तुम
पास से ऐसे गुज़र जाते हो
जैसे वाक़िफ़ ही न हो
मैं वहीं दहलीज़ पे बैठी रह जाती हूँ
फिर पुल के पास से जब तुम गुज़रते हुए
डूबते सूरज को एक नज़र देखते हो
दूर कहीं उस डूबते सूरज की सुर्ख़ ताँबे ऐसी रौशनी से तुम्हारी दहकती जबीं पर
जब दराड़ें पड़ने लगती हैं
मैं तब भी तुम्हें देख रही होती हूँ
गली का बल्ब रौशन करते हुए
एक पल के लिए सोच में पड़ जाती हूँ
अब भला मेरे लिए मन्न-ओ-सल्वा क्यों उतरने लगा
मैं दरवाज़ा खोले ज़िंदगी का इंतिज़ार करती हूँ
मगर वो मेरे हाथ नहीं आती

  - Janan Malik

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Janan Malik

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari