mast hawa jab saawan ki angadaai le kar aati hai | मस्त हवा जब सावन की अंगड़ाई ले कर आती है

  - Jauhar Nizami

mast hawa jab saawan ki angadaai le kar aati hai
aur falak par kaali kaali badli jab chha jaati hai
chham-chham chham-chham nanhi boonden ithla kar jab aati hain
prem ki halki taano mein raavi ki lahren gaati hain
bheege bheege saawan mein jab koel kook sunaati hai
paayal ki jhankaaron ki jab dheemi aahat aati hai
us waqt kinaare raavi ke ik dilkash manzar hota hai
pichhle pahar jab dheemi dheemi thandi hawaaein aati hain
gaav ki sundar aankhon waali paani bharne jaati hain
prem ke mandir mein ganga-jal koi chadhaane jaati hai
devi ke charnon mein koi meethe bol sunaati hai
raavi ki lehron mein chhup kar murli koi bajaata hai
jungle ki khaamosh fazaa mein amrit-ras barsaata hai
us waqt kinaare raavi ke ik dilkash manzar hota hai
sabza phool pataavar gunche aur nagme so jaate hain
dharti par aakaash se jab ma'soom farishte aate hain
shaam hui mandir mein dekho ghante log bajaate hain
raat hui bailon ko le kar harvahe ab jaate hain
halki halki kyoon mein jab duniya saawan gaati hai
haree-bharee shaakhon mein chhup kar koel kook sunaati hai
kuchh din ke bichhde hue saathi hans ke gale jab milte hain
chaandni raaton mein gunche jab chatk chatk kar khilte hain
us waqt kinaare raavi ke ik dilkash manzar hota hai

मस्त हवा जब सावन की अंगड़ाई ले कर आती है
और फ़लक पर काली काली बदली जब छा जाती है
छम-छम छम-छम नन्ही बूँदें इठला कर जब आती हैं
प्रेम की हल्की तानों में रावी की लहरें गाती हैं
भीगे भीगे सावन में जब कोयल कूक सुनाती है
पायल की झंकारों की जब धीमी आहट आती है
उस वक़्त किनारे रावी के इक दिलकश मंज़र होता है
पिछले पहर जब धीमी धीमी ठंडी हवाएँ आती हैं
गाँव की सुंदर आँखों वाली पानी भरने जाती हैं
प्रेम के मंदिर में गंगा-जल कोई चढ़ाने जाती है
देवी के चरनों में कोई मीठे बोल सुनाती है
रावी की लहरों में छुप कर मुरली कोई बजाता है
जंगल की ख़ामोश फ़ज़ा में अमृत-रस बरसाता है
उस वक़्त किनारे रावी के इक दिलकश मंज़र होता है
सब्ज़ा फूल पतावर ग़ुंचे और नग़्मे सो जाते हैं
धरती पर आकाश से जब मा'सूम फ़रिश्ते आते हैं
शाम हुई मंदिर में देखो घंटे लोग बजाते हैं
रात हुई बैलों को ले कर हरवाहे अब जाते हैं
हल्की हल्की बूंदों में जब दुनिया सावन गाती है
हरी-भरी शाख़ों में छुप कर कोयल कूक सुनाती है
कुछ दिन के बिछड़े हुए साथी हँस के गले जब मिलते हैं
चाँदनी रातों में ग़ुंचे जब चटक चटक कर खिलते हैं
उस वक़्त किनारे रावी के इक दिलकश मंज़र होता है

  - Jauhar Nizami

Bekhudi Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Jauhar Nizami

Similar Moods

As you were reading Bekhudi Shayari Shayari