mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke khafa na ho | मिरे आँसुओं पे नज़र न कर मिरा शिकवा सुन के ख़फ़ा न हो

  - Kaif Ikrami

mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke khafa na ho
use zindagi ka bhi haq nahin jise dard-e-ishq mila na ho

ye inaayaten ye nawaazishein mere dard-e-dil ki dava nahin
mujhe us nazar ki talash hai jo ada-shanaas-e-wafa na ho

tujhe kya bataaun main be-khabar ki hai dard-e-ishq mein kya asar
ye hai vo lateef si kaifiyat jo zabaan tak aaye ada na ho

ye sharaab zer-e-haseen-ghata jo hai kaif naazish-e-mai-kada
kisi tishna-kaam ki aarzoo kisi tishna-lab ki dua na ho

मिरे आँसुओं पे नज़र न कर मिरा शिकवा सुन के ख़फ़ा न हो
उसे ज़िंदगी का भी हक़ नहीं जिसे दर्द-ए-इश्क़ मिला न हो

ये इनायतें ये नवाज़िशें मिरे दर्द-ए-दिल की दवा नहीं
मुझे उस नज़र की तलाश है जो अदा-शनास-ए-वफ़ा न हो

तुझे क्या बताऊँ मैं बे-ख़बर कि है दर्द-ए-इश्क़ में क्या असर
ये है वो लतीफ़ सी कैफ़ियत जो ज़बाँ तक आए अदा न हो

ये शराब ज़ेर-ए-हसीं-घटा जो है 'कैफ़' नाज़िश-ए-मै-कदा
किसी तिश्ना-काम की आरज़ू किसी तिश्ना-लब की दुआ न हो

  - Kaif Ikrami

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Ikrami

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari