aag seene mein mohabbat ki lagaate kyun hain
jab unhen chhod ke jaana hai to aate kyun hain
ham jab insaan ki taarif mein aate hi nahin
phir hamein log kaleje se lagaate kyun hain
door kaaba to hai bandon ki ibadat ke liye
phir ye taameer-shuda ghar ko giraate kyun hain
kaanch ka ghar na shajar hai koi aangan mein mere
dosto sang mere ghar mein phir aate kyun hain
jab unhen mujh se mohabbat hi nahin hai swaami
phir mera naam vo likh likh ke mitaate kyun hain
आग सीने में मोहब्बत की लगाते क्यों हैं
जब उन्हें छोड़ के जाना है तो आते क्यों हैं
हम जब इंसान की तारीफ़ में आते ही नहीं
फिर हमें लोग कलेजे से लगाते क्यों हैं
दूर काबा तो है बंदों की इबादत के लिए
फिर ये ता'मीर-शुदा घर को गिराते क्यों हैं
काँच का घर न शजर है कोई आँगन में मिरे
दोस्तो संग मिरे घर में फिर आते क्यों हैं
जब उन्हें मुझ से मोहब्बत ही नहीं है 'स्वामी'
फिर मिरा नाम वो लिख लिख के मिटाते क्यों हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kailash Guru Swami
our suggestion based on Kailash Guru Swami
As you were reading Insaan Shayari Shayari