gham zamaane se chhupaana hi pada
rote rote muskurana hi pada
dil ko dil se bhi bachaana hi pada
ye bhi gham mujh ko uthaana hi pada
saazishi tirchi nazar thi kya kahein
chot kha kar muskurana hi pada
pee sabhi ne main hi tishna tha magar
saath un ke ladkhadana hi pada
un ki ruswaai ne jab ghera mujhe
mujh ko un se door jaana hi pada
zindagi ko aur kab tak jhelta
maut se panja ladna hi pada
aansoon ne is tarah tarteeb di
gham ka har qissa sunaana hi pada
intihaa-e-ishq mein khaaye fareb
chaah kar bhi bhool jaana hi pada
teergi thi aur un ki yaad thi
dil ko aise mein jalana hi pada
haal-e-dil un se chhupaate kab talak
raaz ulfat ka bataana hi pada
swaami un ki zid ke aage jhuk gaye
bijliyon par ghar banaana hi pada
ग़म ज़माने से छुपाना ही पड़ा
रोते रोते मुस्कुराना ही पड़ा
दिल को दिल से भी बचाना ही पड़ा
ये भी ग़म मुझ को उठाना ही पड़ा
साज़िशी तिरछी नज़र थी क्या कहें
चोट खा कर मुस्कुराना ही पड़ा
पी सभी ने मैं ही तिश्ना था मगर
साथ उन के लड़खड़ाना ही पड़ा
उन की रुस्वाई ने जब घेरा मुझे
मुझ को उन से दूर जाना ही पड़ा
ज़िंदगी को और कब तक झेलता
मौत से पंजा लड़ाना ही पड़ा
आँसूओं ने इस तरह तरतीब दी
ग़म का हर क़िस्सा सुनाना ही पड़ा
इंतिहा-ए-इश्क़ में खाए फ़रेब
चाह कर भी भूल जाना ही पड़ा
तीरगी थी और उन की याद थी
दिल को ऐसे में जलाना ही पड़ा
हाल-ए-दिल उन से छुपाते कब तलक
राज़ उल्फ़त का बताना ही पड़ा
'स्वामी' उन की ज़िद के आगे झुक गए
बिजलियों पर घर बनाना ही पड़ा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kailash Guru Swami
our suggestion based on Kailash Guru Swami
As you were reading Ghayal Shayari Shayari