dil par jo tiri yaad ka pahra nahin hota
saagar ki tarah zakham bhi gahra nahin hota
khwaabon ka bahut dekhna achha nahin hota
har khwaab yaqeenan kabhi saccha nahin hota
marzi hai meri jis ko bhi chaahoon use dekhoon
aankhon pe kisi zaat ka pahra nahin hota
lillaah tabeebon ko dikhaate ho mujhe kyun
is toote hue dil ka mudaava nahin hota
nikla hai kahaan ret mein tu pyaas bujhaane
sehra mein jo dikhta hai vo dariya nahin hota
honton ko nujoomi ke jo seena hai to si do
taqdeer ka likkha kabhi jhoota nahin hota
koi na agar cheenta bacche ka nivaala
vo pet pakad kar kabhi soya nahin hota
swaami zara suraj ko samundar se nikaalo
thak-haar ke yun doobna achha nahin hota
दिल पर जो तिरी याद का पहरा नहीं होता
सागर की तरह ज़ख़्म भी गहरा नहीं होता
ख़्वाबों का बहुत देखना अच्छा नहीं होता
हर ख़्वाब यक़ीनन कभी सच्चा नहीं होता
मर्ज़ी है मिरी जिस को भी चाहूँ उसे देखूँ
आँखों पे किसी ज़ात का पहरा नहीं होता
लिल्लाह तबीबों को दिखाते हो मुझे क्यों
इस टूटे हुए दिल का मुदावा नहीं होता
निकला है कहाँ रेत में तू प्यास बुझाने
सहरा में जो दिखता है वो दरिया नहीं होता
होंटों को नुजूमी के जो सीना है तो सी दो
तक़दीर का लिक्खा कभी झूटा नहीं होता
कोई न अगर छीनता बच्चे का निवाला
वो पेट पकड़ कर कभी सोया नहीं होता
'स्वामी' ज़रा सूरज को समुंदर से निकालो
थक-हार के यूँ डूबना अच्छा नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kailash Guru Swami
our suggestion based on Kailash Guru Swami
As you were reading Nadii Shayari Shayari