mere dost bhi aazmaane lage hain
raqeebon se yaari nibhaane lage hain
kabhi karte the jo wafaon ke daave
nazar dekhiye ab churaane lage hain
agar unki chaahat milo door se ab
to ab shams khud ko banaane lage hain
december raha hai judaai ka mausam
lo yaadon ke shole jalane lage hain
zaroorat nahin ghamgusaaron ki mujhko
mere gham kahi ab thikaane lage hain
liya naam mehfil mein phir aaj unka
jinhen bhoolne mein zamaane lage hain
mohabbat priya ab talak sirf unse
magar yaar dooja bataane lage hain
मेरे दोस्त भी आज़माने लगे हैं
रक़ीबों से यारी निभाने लगे हैं
कभी करते थे जो वफ़ाओं के दावे
नज़र देखिए अब चुराने लगे हैं
अगर उनकी चाहत मिलो दूर से अब
तो अब शम्स ख़ुद को बनाने लगे हैं
दिसम्बर रहा है जुदाई का मौसम
लो यादों के शोले जलाने लगे हैं
ज़रूरत नहीं गम़गुसारों की मुझको
मेरे गम़ कहीं अब ठिकाने लगे हैं
लिया नाम महफ़िल में फिर आज उनका
जिन्हें भूलने में ज़माने लगे हैं
मोहब्बत 'प्रिया' अब तलक सिर्फ उनसे
मगर यार दूजा बताने लगे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Priya omar
our suggestion based on Priya omar
As you were reading Mehman Shayari Shayari