zindagi khel hai to pyaada main
kharch kar umr ab hoon aadha main
koshishein theen nazar se gir jaaun
jhuk na paaya tha vo iraada main
yun to andaaz-e-zeest tha dilkash
gud se meetha magar ziyaada main
milkiiyat dil ki jeb se khaali
har nazar mein nawabzaada main
bas shajar si rahi meri fitrat
aakhirsh kaam ka burada main
rakhte kirdaar ab sabhi dohre
rooh tak paak vo labaada main
tum kabhi mujhko aazma lena
jo na toote priya vo vaada main
ज़िन्दगी खेल है तो प्यादा मैं
ख़र्च कर उम्र अब हूँ आधा मैं
कोशिशें थीं नज़र से गिर जाऊँ
झुक न पाया था वो इरादा मैं
यूँ तो अंदाज़-ए-ज़ीस्त था दिलकश
गुड़ से मीठा मगर ज़ियादा मैं
मिल्कियत दिल की जेब से ख़ाली
हर नज़र में नवाब-ज़ादा मैं
बस शजर सी रही मेरी फ़ितरत
आख़िरश काम का बुरादा मैं
रखते किरदार अब सभी दोहरे
रूह तक पाक वो लबादा मैं
तुम कभी मुझको आज़मा लेना
जो न टूटे 'प्रिया' वो वादा मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Priya omar
our suggestion based on Priya omar
As you were reading Promise Shayari Shayari