maine ye to nahin socha tha tu hota to aisa hota
haan tu saath agar hota to jaisa hota achha hota
yun to pehle bhi duniya se koii parda-daari kab thi
lekin roz ka khel na banta aur na roz tamasha hota
ye jo veeraani phaili hai aangan ke kone kone mein
aangan ke har kone mein phir khelta apna baccha hota
bichhad ke us se zinda hoon to kaise kahoon muhabbat thi vo
khushi se mar na gaya hota main pyaar mera gar sachcha hota
मैंने ये तो नहीं सोचा था तू होता तो ऐसा होता
हाँ तू साथ अगर होता तो जैसा होता अच्छा होता
यूँ तो पहले भी दुनिया से कोई पर्दा-दारी कब थी
लेकिन रोज़ का खेल न बनता और न रोज़ तमाशा होता
ये जो वीरानी फैली है आँगन के कोने कोने में
आँगन के हर कोने में फिर खेलता अपना बच्चा होता
बिछड़ के उस से ज़िंदा हूँ तो कैसे कहूँ मुहब्बत थी वो
ख़ुशी से मर न गया होता मैं प्यार मेरा गर सच्चा होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by KUNAL
our suggestion based on KUNAL
As you were reading Aangan Shayari Shayari