in ke rukh par hijaab rehta hai
jaise mah par sahaab rehta hai
vasl ka jab sawaal ho un se
bas nahin mein jawaab rehta hai
paas rah kar bhi darmiyaan apne
fasla be-hisaab rehta hai
husn waalon se jo wafa chahe
us ka khaana kharab rehta hai
hum-safar sohni si ho koi
mere khun mein chanaab rehta hai
misl-e-taaer hawa mein udta hoon
meri aankhon mein khwaab rehta hai
reg-e-sehra unhen nigalti hai
jin ki rah mein saraab rehta hai
maa ki jis ko duaaein mil jaayen
umr bhar kaamyaab rehta hai
jaane kis khaak se bana hoon main
rooh mein iztiraab rehta hai
uljhe rishton ki talkh uljhan mein
uljha uljha sahaab rehta hai
इन के रुख़ पर हिजाब रहता है
जैसे मह पर सहाब रहता है
वस्ल का जब सवाल हो उन से
बस ''नहीं'' में जवाब रहता है
पास रह कर भी दरमियाँ अपने
फ़ासला बे-हिसाब रहता है
हुस्न वालों से जो वफ़ा चाहे
उस का ख़ाना ख़राब रहता है
हम-सफ़र सोहनी सी हो कोई
मेरे ख़ूँ में चनाब रहता है
मिस्ल-ए-ताएर हवा में उड़ता हूँ
मेरी आँखों में ख़्वाब रहता है
रेग-ए-सहरा उन्हें निगलती है
जिन की रह में सराब रहता है
माँ की जिस को दुआएँ मिल जाएँ
उम्र भर कामयाब रहता है
जाने किस ख़ाक से बना हूँ मैं
रूह में इज़्तिराब रहता है
उलझे रिश्तों की तल्ख़ उलझन में
उलझा उलझा 'सहाब' रहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Laiq Akbar sahaab
our suggestion based on Laiq Akbar sahaab
As you were reading Hawa Shayari Shayari