doston ne ye gul khilaaya tha
haath dushman se ja milaaya tha
aasteenon mein saanp pale the
doodh khud hi unhen pilaaya tha
zakham kaari bahut laga dil par
teer apnon ne ik chalaaya tha
barq maangi nahin falak tujh se
ham ne khirman ko khud jalaya tha
dil ko zakhamon se choor hona tha
ishq ki raah par chalaaya tha
poochte ho dhuaan hain kyun aankhen
jaan ki basti mein dil jalaya tha
main to bhoola nahin sahaab us ko
us ne kaise mujhe bhulaaya tha
दोस्तों ने ये गुल खिलाया था
हाथ दुश्मन से जा मिलाया था
आस्तीनों में साँप पाले थे
दूध ख़ुद ही उन्हें पिलाया था
ज़ख़्म कारी बहुत लगा दिल पर
तीर अपनों ने इक चलाया था
बर्क़ माँगी नहीं फ़लक तुझ से
हम ने ख़िर्मन को ख़ुद जलाया था
दिल को ज़ख़्मों से चूर होना था
इश्क़ की राह पर चलाया था
पूछते हो धुआँ हैं क्यूँ आँखें
जाँ की बस्ती में दिल जलाया था
मैं तो भूला नहीं 'सहाब' उस को
उस ने कैसे मुझे भुलाया था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Laiq Akbar sahaab
our suggestion based on Laiq Akbar sahaab
As you were reading Dushman Shayari Shayari