dekha use qamar mujhe achha nahin laga | देखा उसे, क़मर मुझे अच्छा नहीं लगा

  - Laiq Akbar sahaab

dekha use qamar mujhe achha nahin laga
choo kar use guhar mujhe achha nahin laga

chaaha use to yun ki na chaaha kisi ko phir
koi bhi umr bhar mujhe achha nahin laga

aaina dil ka tod ke kehta hai sang-zan
dil tera tod kar mujhe achha nahin laga

dil se mere ye kah ke sitamgar nikal gaya
dil hai tira khandar mujhe achha nahin laga

ugla safar ho mere khuda raahaton bhara
jeevan ka ye safar mujhe achha nahin laga

dekha jo is ke dar pe raqeebon ka ik hujoom
phir us ke ghar ka dar mujhe achha nahin laga

tajdeed-e-rasm-o-raah pe vo to raha musir
vo bewafa magar mujhe achha nahin laga

is ka hi zikr bas tumhein achha lage sahaab
kahte ho tum magar mujhe achha nahin laga

देखा उसे, क़मर मुझे अच्छा नहीं लगा
छू कर उसे, गुहर मुझे अच्छा नहीं लगा

चाहा उसे तो यूँ कि न चाहा किसी को फिर
कोई भी उम्र भर मुझे अच्छा नहीं लगा

आईना दिल का तोड़ के कहता है संग-ज़न
दिल तेरा तोड़ कर मुझे अच्छा नहीं लगा

दिल से मिरे ये कह के सितमगर निकल गया
दिल है तिरा खंडर मुझे अच्छा नहीं लगा

उगला सफ़र हो मेरे ख़ुदा राहतों भरा
जीवन का ये सफ़र मुझे अच्छा नहीं लगा

देखा जो इस के दर पे रक़ीबों का इक हुजूम
फिर उस के घर का दर मुझे अच्छा नहीं लगा

तज्दीद-ए-रस्म-ओ-राह पे वो तो रहा मुसिर
वो बेवफ़ा मगर मुझे अच्छा नहीं लगा

इस का ही ज़िक्र बस तुम्हें अच्छा लगे 'सहाब'
कहते हो तुम मगर मुझे अच्छा नहीं लगा

  - Laiq Akbar sahaab

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Laiq Akbar sahaab

As you were reading Shayari by Laiq Akbar sahaab

Similar Writers

our suggestion based on Laiq Akbar sahaab

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari