dil muzmahil hai teri nawaazish ke baawajood
ye sarzameen udaas hai baarish ke baawajood
kheera na kar sake nigah-e-imtiyaaz ko
jhoote nageen numood-o-numaish ke baawajood
ek phool bhi chaman mein na dil khol kar hansa
shabnam ke aansuon ki guzarish ke baawajood
kya qahar hai ki jhooth mein milti hai aafiyat
sach bolna muhaal hai khwaahish ke baawajood
mera vaqaar zeest na majrooh kar sake
dushman hazaar heela-o-saazish ke baawajood
apni galat ravish ko na tabdeel kar sake
kuchh dost baar baar guzarish ke baawajood
barkhud galat kabhi na hue zindagi mein lais
duniya-e-fan mein daad-o-sataaish ke baawajood
दिल मुज़्महिल है तेरी नवाज़िश के बावजूद
ये सरज़मीं उदास है बारिश के बावजूद
ख़ीरा न कर सके निगह-ए-इम्तियाज़ को
झूटे नगीं नुमूद-ओ-नुमाइश के बावजूद
एक फूल भी चमन में न दिल खोल कर हँसा
शबनम के आँसुओं की गुज़ारिश के बावजूद
क्या क़हर है कि झूट में मिलती है आफ़ियत
सच बोलना मुहाल है ख़्वाहिश के बावजूद
मेरा वक़ार ज़ीस्त न मजरूह कर सके
दुश्मन हज़ार हीला-ओ-साज़िश के बावजूद
अपनी ग़लत रविश को न तब्दील कर सके
कुछ दोस्त बार बार गुज़ारिश के बावजूद
बरख़ुद ग़लत कभी न हुए ज़िंदगी में 'लैस'
दुनिया-ए-फ़न में दाद-ओ-सताइश के बावजूद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lais Quraishi
our suggestion based on Lais Quraishi
As you were reading Gulshan Shayari Shayari